Pattharon ki barish se kaise sar bachaaoge Tum agar sitamgar ko aaiinaa dikhaaogey Hum ko likhne waale ne lazawaal likhaa hai Hum to aur ubrenge jis qadar mitaaoge Dushmani ki mitti mai pyaar ug nahee sakta Tum ne khaar boye hain phool kaise paaoge Roz-o-shab sataaney ki tum ne thaan rakkhi hai Jitna tumbhulaaoge aur yaad aayengey Soodkhor dunia ka qarz kaise utrega Apney baad bete per bojh chhorh jaaoge